Vyaktitwa Ka Vikas, Personality Development

Vyaktitwa kya hai..?
English ke Cambridge international shabdkosh ke according ' aap jis prakaar ke vyakti hain' wahi apka vyaktitwa hai aur wah apke Aacharan, Samvedansheelta aur Vichaaron se vyakt hota hai.' Longmen ke shabdkosh ke according 'kisi vyakti ka poora swabhaw tatha charitra' hi vyaktitwa kehlata hai.

Koi vyakti kaisa aacharan karta hai, mehsoos karta hai aur sochta hai; kisi vishesh paristhiti mein wah kaisa vyavhaar karta hai - yah kaafi kuch uski mental structure par depend karta hai. Kisi vyakti ke keval external shape ya uski baatein ya chaal-dhaal uske vyaktitwa ke keval across the edge hain. Ye uske sacche vyaktitwa ko prakat nahi karte. Vyaktitwa ka vikas in fact vyakti ke deep levels se related hai. So mann tatha uski kriyavidhi ke baare mein spasht samajh se hi hamare vyaktitwa ka adhyayan prarambh hona chahiye.
Apne Mann Ko Samajhne Ki Aavashyakta
Hum bahut si chizein karne ke ichhuk hain - achhi aadatein daalne aur buri aadatein chhodne, ekagrata ke sath padhne aur mann lagakar kuch karne ka sankalp lete hain. But most likely hamara mann mann vidroh kar baithta hai aur hame inn sankalpon ko roopayit karne ke hamare prayas se peeche hatne ko majboor kar deta hai. Hamare samne kitaab khuli padi hai aur hamari aankhen khuli hain; but mann kuch purani baton ko sochta hua ya future ke liye khyali pulaw pakata hua idhar-udhar ghumne lagta hai.
Swami Vivekananda Ke Anusaar
Jab hum thodi der ke liye pray, jap ya dhyan karne baithte hain, tab bhi aisa hi hota hai. Swami Vivekananda kehte hain, "Swatantra! Hum ek kshan toh khud apne mann par shasan nahi kar sakte; yahi nahi, kisi vishay par usse sthir nahi kar sakte aur anya sabse hatakar kisi ek bindu par usse kendrit nahi kar sakte! Fir bhi hum apne ko swatantra kehte hain! Zara iss par gaur toh karo!"
Bhagwad Geeta Ke Anusaar
Bhagwad Geeta ka kehna hai ki asanyamit mann ek shatru ke samaan aur sanyamit mann hamare mitra ke samaan aacharan karta hai. So hame apne mann ki prakriya ke vishay mein ek spasht dhaarna rakhne ki aawashyakta hai. Kya hum isse apne aagya-palan mein, apne sath sahayog karne mein prashikshit kar sakte hain..? Kis prakaar yah hamare vyaktitwa ke vikas mein yogdaan kar sakta hai..?

Post a Comment

Previous Post Next Post