Dheeru Bhai Ambani Ki Safalta Ki Kahani



Dheeru Bhai Ambani

आशा तुम्हारा सबसे शक्तिशाली अस्त्र है, 

आत्म-विश्वास सबसे बड़ी संपत्ति है. 

Dheeru Bhai Ambani Parichay:
Dheeru Bhai Ambani aur reliance ki safalta itni abhootpoorv rahi hai ki adhiktar log dhan ki chakachaundh ke peeche chhipi vastvikta ko dekh hi nahi paate. Dheeru Bhai ko yun hi tehlte-tehlte safalta nahi mil gayi thi. Unhone ‘Kadi Mehnat Se Mili Safalta’ ke muhaware ko naye aayam diye. Maine kabhi koi aisa vyakti nahi dekha jo samne aane wali kathor paristhitiyon ke bawajood kadi mehnat karta rahe aur chunautiyan bhi aisi ki koi sadharan manushya to unke samne tik hi na sake. Unhe har kadam par mushkilon aur sankaton ka samna karna pada aur yah prakriya kishoravastha se hi shuru ho gayi thi, lekin fir bhi ve date rahe.

Ve kehte the ki khuli aankhon se sapne dekhne ka sahas rakho unka jeevan iss baat ki jeeti jaagti mishaal hai ki aap chahe kitne bhi chhote kyon na ho, bade se bada sapna dekhna sambhav hai evam aap isse khud apne hi jeevan mein sakaar bhi kar sakte hain. 

Angreji Bhasha Ki Baadha:

Jab Dheeru bhai 1950 ki garmiyon mein Adan ke liye rawana hue toh unke mann mein angreji bolna seekhne ki icchha jor maar rahi thi. Chorwad aur Joonagarh ke school mein wah yah bhasha achhi tarah nahi seekh paaye the. Kyonki waha ke teacher iss bhasha ke paarkhi nahi kahe ja sakte the. Darasal unki prathmik shiksha Guajarati medium se hui fir bhi wah A. Basie & Company ka hissa banne ja rahe the, jo ki sabse badi trading firm ‘Poorv Ki Khoj’ ke naam se jaani jati thi. Short mein keh sakte hain, ki len-den ke vyavsaay mein hunarmand vartakaron se baatcheet karna aana chahiye. Adan unn dino bhi British colony tha isliye Dheeru bhai ke staff mein bhi shuddh aur fluent English bolne wale rahe honge. 


Reliance Company Ki Neev Rakhi:

Dheeru Bhai ka janm 28 December, 1932 mein hua. Ve apne maata-pita Heerachand evam Jamnaben Ambani ki paanchvi 5 santaan the. Unhone 17 saal ki umr mein Chorwada, Gujarat chhoda aur A. Baisi & Company ke sath kaam karne ke liye Adan rawana ho gaye. 9 varsh ke baad baad bhaarat lautkar Reliance Commercial Corporation ko establish kiya. Ve masaalo ka vyapar chhodkar soot ka vyapar karne lage aur 1966 mein Naroda, Gujarat mein vastra nirman ikaai aarambh ki. 
Iske baad issi shrankhla mein unhone kapde, soot, polyester, petrochemical, tel shodhak karkhane aur tel ki khojbeen ka kayi arab dollar ka corporation bhi banaya. 


Middle Class Ko Banaya Niveshak:

1977 mein unhone punji bazaar mein apni yojnaon ko vittiya roop diya. Unhone ek chhoti si vastra nirman ikaai mein middle class ka bharosa paida kiya aur unhe niveshak banaya. Unke abhootpoorv pradarshan aur logon ke vishwas se desh mein nayi nivesh sanskriti paida hui. 25 varshon ke bheetar unhone desh ke vishaltam corporation taiyar kar diye. Reliance group, unki lakshyo ke prati vachanbaddhata aur sankalp-shakti ki jeeti-jaagti misaal hai. Bharatiya udhyog jagat mein kisi bhi group ne aisi vriddhi nahi ki. Aaj iski kul turnover, bharatiya GDP ka 3% hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post